kisi ka dard ho dil be-qarar apna hai hawa kahin ki ho sina figar apna hai ho koi fasl magar zakhm khul hi jate hain sada-bahaar dil-e-dagh-dar apna hai bala se hum na piyen mai-kada to garm hua ba-qadr-e-tishnagi ranj-e-khumar apna hai jo shad phirte the kal aaj chhup ke rote hain hazar shukr gham-e-paedar apna hai isi liye yahan kuchh log hum se jalte hain ki ji jalane mein kyun ikhtiyar apna hai na tang kar dil-e-mahzun ko ai gham-e-duniya khudai-bhar mein yahi gham-gusar apna hai kahin mila to kisi din mana hi lenge use wo zud-ranj sahi phir bhi yar apna hai wo koi apne siwa ho to us ka shikwa karun judai apni hai aur intizar apna hai na dhundh 'nasir'-e-ashufta-haal ko ghar mein wo bu-e-gul ki tarah be-qarar apna hai