raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap ghaeb hain par nigah ki surat nazar se aap aankhen bichhate phirte hain mushtaq rah mein kya jaaniye guzarte hain kis rahguzar se aap roe koi gharib to hansna na chahiye waqif nahin kisi ke fughan-e-asar se aap kante bhare hain khat mein jo chhute nahin ise itna na hath khinchiye meri khabar se aap rahgir kyun tadapte hain tashwish thi mujhe ab khul gaya ki jhankte hain chaak-e-dar se aap hammam ne to aur bhi chamka diya badan goya naha ke nikle hain aab-e-guhar se aap laenge rah par ye rukh-o-zulf ek din dekhenge sham tak mera rasta sahar se aap aankhon ki tarah rone lagen rauzan-e-makan puchhen hamara haal jo diwar-o-dar se aap mirrikh-pan mizaj mein aaza mein nazuki tegh-e-shua bandhiye apni kamar se aap ai zahidan-e-khushk ye ghairat ka hai maqam aagah aaj tak nahin khaliq ke ghar se aap zahir hai murgh-e-qibla-numa bhi gawah hai kabe ki samt puchhte hain jaanwar se aap kyunkar malak kahun ki malak khadim aap ke hain wo bashar ki malti hain khairul-bashar se aap jo baat aap ki hai mashiyyat khuda ki hai be-shubah mukhtalat hain qaza-o-qadar se aap phisla hai mere aansuon mein panw aap ka bande ka sar utariye aaj apne sar se aap ai 'bahr' rahm khaega wo rone par zarur dho rakhiye apne munh ko zara chashm-e-tar se aap