raushan kar ke us ke nam ki lau dil mein main ne bhi us ko dal diya ek mushkil mein ye aawazen meri hi paida-karda hain gunj raha hun main duniya ke har dil mein main bhi aankh ki ot mein chhup ke baitha tha wo bhi dhund raha tha mujh ko mahfil mein chum raha hun us ke ek ek war ko main jaane main ne dekh liya kya qatil mein is ko lahu kahun ya naqsh-e-shola-e-jaan bas ek mauj-e-sarab thi raqsan is dil mein us ko khona asl mein us ko pana hai hasil ka hi partaw hai la-hasil mein ye asrar khula bhi to jaan dene par 'tur' nihan tha main bhi kahin us ke dil mein