jise dekha tera joya hai pyare tujhi ko dhundhne khoya hai pyare qasam hai dida-e-giryan ki mujh ko ki duniya aalam-e-roya hai pyare nihaal-e-ah hoga dana-e-ashk ugega wo jo kuchh boya hai pyare tujhe dil de ke main ne aazmaya wo sikha jis ne kuchh khoya hai pyare kisi ke kan bharne par na rakh dhyan har ek munh mein zaban goya hai pyare main jaga shab sar-e-gesu mein warna jise kala dase soya hai pyare mera dil jal-bujha shab se yahan kun charagh-e-murda par roya hai pyare nazara kab kiya us chashm-e-tar ne abas daman tera dhoya hai pyare mila do lab kahan ka aab-e-haiwan khizar ka rasta khoya hai pyare kafan apne 'nasim'-e-kushta ka sunkh har ek barg-e-gul boya hai pyare