raushni ban ke sitaron mein rawan rahte hain jism-e-aflak mein hum surat-e-jaan rahte hain hain dil-e-dahr mein hum surat-e-ummid-e-nihan misl-e-iman rukh-e-hasti pe ayan rahte hain jo na dhundo to hamara koi maskan hi nahin aur dekho to qarib rag-e-jaan rahte hain har-nafas karte hain ik-tarfa tamasha paida hum sar-e-dar bhi tazin jahan rahte hain aur bhi ahl-e-nazar hain kabhi dekho to sahi hum bhi is shahar mein ai kam-nazran rahte hain dil ki dhadkan se mila un ka pata kuchh hum ko kis ko malum tha warna wo kahan rahte hain wusat-e-dasht nahin ras chaman-zadon ko hum tere shahar ki jaanib nigaran rahte hain ashk girte hain to kuchh dil ko sakun milta hai hae wo log jo mahrum-e-fughan rahte hain zindagi-bhar ka hai ahbab se is dasht mein sath misl-e-jaan rahte hain hum 'arsh' jahan rahte hain