sang-e-dar us ka har ek dar pe laga milta hai dil ko aawara-mizaji ka maza milta hai jo bhi gul hai wo kisi pairhan-e-gul par hai jo bhi kanta hai kisi dil mein chubha milta hai shauq wo dam ki jo rukhsat-e-parwaz na de dil wo tair ki use yun bhi maza milta hai wo jo baithe hain bane naseh-e-mushfiq sar par koi puchhe to bhala aap ko kya milta hai hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge log kahte hain ki dhunde se khuda milta hai dam-e-tazwir na ho shauq gulu-gir na ho mai-kada 'arsh' hamein aaj khula milta hai