raushni bhar khala pe bar the hum dhund manzar pas-e-ghubar the hum dhup mein aae to sukun mila chhanw mein the to daghdar the hum koi dastak na koi aahat thi muddaton wahm ke shikar the hum but-gari mein hunar bhi shamil tha sang-sazi se hoshiyar the hum qarz koi bhi jism o jaan pe na tha zindagi par magar udhaar the hum zulmaten to charag-e-khema thin khalwaton ke gunahgar the hum fikr o mani talazme tashbih ai ghazal tere jaan-nisar the hum 'rind' tha bekasi ka lutf ajib ghar mein rah kar bhi be-dayar the hum