jahan ki hai jurm ek nigah karna wahin hai gunah pe dat ke gunah karna buton se badha ke mel nibah karna jahan ke safed ko he siyah karna sikhaya hai mujh ko is meri be-kasi ne usi ko sitam ka us ke gawah karna lubhane se dil ke tha to ye muddaa tha gharib ki zindagi ko tabah karna yahi to hai han yahi wo ada-e-masum alag hui jo sikha ke gunah karna jafa se bhi len maza na wafa ka kyunkar hamein to har ek tarah hai nibah karna ye kahta hai chashm-e-hosh-ruba ka jadu tujhe tere hath se hai tabah karna teri nazar se sikha hai aah-e-dil ne jigar mein shigaf dal ke rah karna nazar mein nazar gadae hai yun wo zalim ki 'arzu' ab kathin hai ek aah karna