raushni chaho to mehr-o-mah-o-aKHtar socho

raushni chaho to mehr-o-mah-o-akhtar socho
ek qatre ki talab ho to samundar socho

kaise ki jae rafu amn ki chadar socho
sochne walo zara socho mukarrar socho

jis ka saya hai tabahi ki alamat ai dost
us parinde ke katar paoge kya par socho

sim-o-zar ke liye iman lutane walo
sath kya le ke gaya apne sikandar socho

kaise duniya ko mayassar hon ukhuwwat ke samar
nakhl ulfat ka ho kis tarah tanawar socho

jis se aati thi khulus aur wafa ki khushbu
kaise pamal hua hai wo gul-e-tar socho

apne akhlaq se maghlub karo dushman ko
tir socho na tabar socho na khanjar socho

jis ne har gam pe duniya ko masarrat di hai
aaj kyunkar hai shikan us ki jabin par socho

jis ki peshani pe manzil ka pata likkha hai
thokaren kis liye khata hai wo patthar socho

apni ghazlon ka badhane ke liye husn 'shafia'
fikr pakiza rakho lafz munawwar socho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close