mahal-saraon ke diwar-o-dar se kya lena

mahal-saraon ke diwar-o-dar se kya lena
tere gadaon ko lal-o-guhar se kya lena

main apne zarf ko apni nazar se dekhunga
kisi ki fikr kisi ki nazar se kya lena

jo baal-o-par ke sahaare ude parinda hai
main aadmi hun mujhe baal-o-par se kya lena

main khud bashar hun bashar se hai dosti meri
mujhe tasawwur-e-fauq-ul-bashar se kya lena

jo chal sako to chalo mere sath manzil tak
wagarna mujh ko tumhaare safar se kya lena

ek aadmi ko bhi insan jo bana na sake
muaf karna mujhe us hunar se kya lena

mujhe zamin ke zarron mein nur bharna hai
meri talash ko shams-o-qamar se kya lena

use to dhup ki chaukhat se laut jaana hai
nasim-e-subh ko phir dopahar se kya lena

hai kaun bhuka andhera hai kis ke ghar mein 'shafia'
amir-e-shahr ko aisi khabar se kya lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close