raushni dar pe khadi mujh ko bulati kyun hai main andhere mein hun ehsas dilati kyun hai raat hissa hai meri umr ka ji lene de zindagi chhod ke tanha mujhe jati kyun hai shahr ke log to sadkon pe raha karte hain ghar banane ki lagan mujh ko satati kyun hai gumrahi se bhi mera zauq-e-safar kam to nahin rah lekin mere qadmon ko churaati kyun hai jaan-ba-lab lamha-e-taskin meri qismat hai 'shamim' be-khudi phir mujhe diwana banati kyun hai