ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha aaj ghar ki chhat se dekha aasman aisa na tha kab se hai girte hue patton ka manzar aankh mein jaane kya mausam hai khwabon ka ziyan aisa na tha koi shai lahra hi jati thi fasil-e-shab ke par dur ufuq mein dekhna kuchh raegan aisa na tha ped the sae the pagdandi thi ek jati hui kya ye sab kuchh khwab tha sach-much yahan aisa na tha fasla kam karne wale raste shayad na the ab to lagta hai safar hi darmiyan aisa na tha dil ki tha mail bahut viran jaziron ki taraf ye hawa aisi na thi ye baadban aisa na tha koi gosha khwab ka sa dhund hi lete the hum shahr apna shahr 'bani' be-aman aisa na tha