raushni ho na saki sham ke hangam ke sath aur hum dip jalate rahe har sham ke sath dur badhta hi gaya hasrat-e-nakaam ke sath dil mein ek tis uthi aap ke hangam ke sath aap ne pursish-e-gham ka bhi takalluf na kiya dil mein hum jalte rahe hasrat-e-nakaam ke sath jaane kyun aaj mere ishq ki tashhir hui har zaban par hai mera nam tere nam ke sath daur-e-mai khatm hua shama ka dil baith gaya raunaq-e-bazm gai saqi-e-gulfam ke sath waqt ki baat hai kya waqt guzar jaega aur kuchh der chalo gardish-e-ayyam ke sath manzil-e-ishq mein kya kaam tha un ka 'hamdam' thak ke jo baith gae rah mein aaram ke sath