dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka

dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka
samjha hun ise main to amal radd-e-bala ka

duniya mein koi mujh sa gunahgar na hoga
main khak ka putla nahin putla hun khata ka

jannat ki hai ummid to dozakh ka hai khatka
dushwar hai maidan bahut bim-o-raja ka

huran-e-jinan ne hamein aankhon pe bithaya
dekhe to koi martaba tere shohda ka

saghar ki tamanna hai na shishe ki zarurat
mastana hun teri nigah-e-hosh-ruba ka

anwar-e-mohammad ke hain anwar-e-ilahi
didar mohammad ka hai didar khuda ka

ek raaz hai ye bhi ki teri tegh ka pani
chashma hai shahidon ke liye aab-e-baqa ka

allah ke mahbub ki nazron mein hai eajaz
sine mein jo allah ka ghar tha use taka

be-ai marun tum pe ki marna hai muqaddar
kyun muft mein ehsan uthaun main qaza ka

marqad mein bhi ummat ko na bhule shah-e-wala
allah-ghani dhyan hai kitna ghoraba ka

rauze pe kya arz mera haal-e-pareshan
ehsan na bhulunga kabhi baad-e-saba ka

jis khak pe aashiq ne kiye sajdon pe sajde
khaka tha wahan aap ke naqsh-e-kaf-e-pa ka

arbab-e-karam phulte-phalte hain hamesha
milta hai samar un ko gharibon ki dua ka

'rasikh' ki zaban par ho dam-e-marg ye misra
mahbub ki ummat mein hun banda hun khuda ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close