raushni ke silsile khwabon mein dhal kar rah gae jitne manzar the sarabon mein badal kar rah gae shoabde hi shoabde phir taliyan hi taliyan hum hi nadan the khilaunon se bahal kar rah gae dekhte hi dekhte bazar khali ho gaya log apni hi sadaon se dahal kar rah gae wo tamazat thi ki jangal bhi dhuan dene lage lahlahate khet kya sae bhi jal kar rah gae lafz gunge to na the par baat adhuri rah gai tazkire kitne zabanon par machal kar rah gae