nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah nigahen kah gai sab haal-e-dil zaban ki tarah kiye the be-khudi-e-shauq mein jahan sajde wahi zamin nazar aati hai aasman ki tarah nazar mili hai to pahchan jae ahl-e-chaman dikhai dete hain gulchin bhi baghban ki tarah kitab-e-zist ka shiraaza-band koi nahin bikhar gai hai kisi nazm-e-bostan ki tarah na barg-o-bar na shadabiyan na ghuncha-o-gul yahi bahaar agar hai to hai khizan ki tarah tumhaare shahr mein muddat se ye tamanna hai dikhai de koi be-mehr mehrban ki tarah khuda-gawah ki ek umr ka asasa hai na kyun aziz rakhun ilm-o-fan ko jaan ki tarah kise bataen ki the hum bhi ham-nashin ai 'saif' wo 'taj' bhul gae yaad-e-raftagan ki tarah