raushni ki dor thame zindagi tak aa gae chor ahd-e-samri ke jal-pari tak aa gae waizan-e-khush-hawas ki jhidkiyan sunte hue la-shuuri taur par hum sarkhushi tak aa gae dhol pita ja raha tha aur khali pet hum hanste-gate thap sunte dholchi tak aa gae wahimon ki na-tamami ka ilaqa chhod kar kuchh parinde hath bandhe sabzagi tak aa gae bhai bahnon ki mohabbat ka nasha mat pochhiye be-takalluf ho gae to gudgudi tak aa gae chaak-e-tohmat par ghumaya ja raha tha ishq ko jab hamare ashk khwab-e-khud-kushi tak aa gae galiyan bakne lage ghusse hue ladne lage raqs karte karte hum bhi khud-sari tak aa gae ai hasin ladki tumhaare husn ke lazzat parast kafiri se sar bacha kar shairi tak aa gae