bakhshish hai teri hath mein duniya liye hue main chup khada hun dida-e-bina liye hue sahra ko kya khabar ki hai har zarra-e-haqir mutthi mein apni qismat-e-sahra liye hue us sham se daro jo sitaron ki chhanw mein aati ho ek hasin andhera liye hue ai waqt ek nigah ki kab se khade hain hum aaina-e-tasawwur-e-farda liye hue guzra tha is dayar se suraj ka ek safir har naqsh-e-pa mein ek yad-e-baiza liye hue aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein peshani-e-sahar ka ujala liye hue lai thi be-khudi jise is dar pe wo 'jamil' jata hai ab khudi ka janaza liye hue