raushni ki ye hawas kya kya jalaegi na puchh aarzu-e-subh kitne zulm dhaegi na puchh hosh mein aaegi duniya meri be-hoshi ke baad meri khamoshi wo hangama machaegi na puchh nasl-e-adam rafta rafta khud ko kar legi tabah itni sakhti se qayamat pesh aaegi na puchh darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh jism ijazat de hi dega par simat jaane ke baad ruh kaise is qafas ko ghar banaegi na puchh