muddaa jo zehn se uttha tha wo beja na tha dil bahut masum tha dil aql-parwarda na tha main tilism-e-raushni se kha raha tha kyun fareb dhup thi to tha mera apna koi saya na tha jangalon ne kar liya taslim jaane kyun gunah ai jahan-e-nau tera ilzam tak pukhta na tha raqs karte karte ek din khak ho jaenge hum ranj farmaega is darja junun socha na tha main shuru-e-ishq mein hal karne wala tha ise masala ruh-o-badan ka itna pechida na tha jab yahan rahne ke sab asbab yakja kar liye tab khula mujh par ki main duniya ka bashinda na tha rafta rafta maut ki jaanib badha kyun har koi zindagi mein kya bura tha zindagi mein kya na tha