raushni mein jugnu laya ja raha hai aaine ko kya dikhaya ja raha hai ye dhuan sa kya uthaya ja raha hai aag ko kyon aazmaya ja raha hai kaun hai jo de ke dastak chhup gaya hai kyon mujhe yunhi sataya ja raha hai basti ke ye log kitne na-samajh hain hir ko ranjha bataya ja raha hai hath lagta hi nahin tha wo kabhi so hath us se ab chhudaya ja raha hai kya suna achchha hun main main aur achchha jhut tum sab ko sunaya ja raha hai ta ki ye khud mar paen is liye bhi mujh ko dushman se bachaya ja raha hai jab main rutha hi nahin hun tujh se to phir mujh ko yunhi kyon manaya ja raha hai shaeri mein thi takhayyul ki kami so yar ko jabran ganwaya ja raha hai waqt aisa aaega socha nahin tha hath se khana khilaya ja raha hai sochta hun is mein apna aks dalun ret pe jo dil banaya ja raha hai jo bacha kar rakkha tha khud se abhi tak wo khazana ab lutaya ja raha hai pahle us ke sath koi bhi nahin tha aaj-kal 'ayyab' paya ja raha hai