tere lahje ka ye farman hai jaanan

tere lahje ka ye farman hai jaanan
juda hone ka kuchh imkan hai jaanan

agarche bewafa hi hai magar phir bhi
kisi bechaare ki wo jaan hai jaanan

bahut se rang hain is ishq ke tere
kabhi kante kabhi gul-dan hai jaanan

kahin ghalati se bhi paon na pad jaen
mohabbat ek qabristan hai jaanan

bacha kya hai sabhi kuchh kah rahi hai ye
tere honton pe jo muskan hai jaanan

faqat kapdon pe us ke tum nahin jaana
wo shair hi nahin sultan hai jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close