raushni si kabhi kabhi dil mein manzil-e-be-nishan se aati hai laut kar nur ki kiran jaise safar-e-la-makan se aati hai nau-e-insan hai gosh-bar-awaz kya khabar kis jahan se aati hai apni fariyaad bazgasht na ho ek sada aasman se aati hai takhta-e-dar hai ki takhta-e-gul bu-e-khun gulistan se aati hai dil se aati hai baat lab pe 'hafiz' baat dil mein kahan se aati hai