raaz-e-sar-basta mohabbat ke zaban tak pahunche baat badh kar ye khuda jaane kahan tak pahunche kya tasarruf hai tere husn ka allah allah jalwe aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunche teri manzil pe pahunchna koi aasan na tha sarhad-e-aql se guzre to yahan tak pahunche hairat-e-ishq meri husn ka aaina hai dekhne wale kahan se hain kahan tak pahunche khul gaya aaj nigahen hain nigahen apni jalwe hi jalwe nazar aae jahan tak pahunche wahi is gosha-e-daman ki haqiqat jaane jo mere dida-e-khun-naba-fishan tak pahunche ibtida mein jinhen hum nang-e-wafa samjhe the hote hote wo gile husn-e-bayan tak pahunche aah wo harf-e-tamanna ki na lab tak aae hae wo baat ki ek ek ki zaban tak pahunche kis ka dil hai ki sune qissa-e-furqat mera kaun hai jo mere andoh-e-nihan tak pahunche khalish-angez tha kya kya teri mizhgan ka khayal tut kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunche na pata sang-e-nishan ka na khabar rahbar ki justuju mein tere diwane yahan tak pahunche na ghubar-e-rah-e-manzil hai na aawaz-e-jaras kaun mujh rahraw-e-gum-karda-e-nishan tak pahunche saf tauhin hai ye dard-e-mohabbat ki 'hafiz' husn ka raaz ho aur meri zaban tak pahunche