rawan-dawan nai tahzib ka safar rakkho magar nigah ko manzil se ba-khabar rakkho sadaqaton ki hifazat ka hausla ho agar to apne hathon se neze pe apna sar rakkho tumhaari nasl ki parwaz mein khalal na pade mat un ke samne apne shikasta par rakkho na gham karo jo kadi dhup ka safar hai hayat jilau mein apne koi saya-e-shajar rakkho sahar ke bhule sar-e-sham laut aaenge lawen badha ke charaghon ki baam par rakkho jo sach likhogi to phir kuchh na likh sakogi 'nasim' qalam mein mani badalne ka bhi hunar rakkho