ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya dam bhar ki aah aah hai is se ziyaada kya gardan se tauq-e-khauf-o-talab ko nikal dekh phir koi baadshah hai is se ziyaada kya taqat agar hai panw mein sahra ka khauf kyun bas ek kushada rah hai is se ziyaada kya wo to hawa thi band na mutthi mein ho saki ab ranj khwah-makhwah hai is se ziyaada kya baalon ko apne chhod meri sham-e-gham ko dekh phir dekh kuchh siyah hai is se ziyaada kya har-chand aaj bhi hai wahi kasrat-e-umid haari hui sipah hai is se ziyaada kya ek kankari uchhaal ke todo tilism-e-tab pani mein aks-e-mah hai is se ziyaada kya hain kaamyab jin ka yahan ji nahin laga duniya ki dars-gah hai is se ziyaada kya ghatta hi jaega ye latafat ke sath sath ye jism zad-e-rah hai is se ziyaada kya khun-e-jigar se sher likho aur ma-hasal dam bhar ki wah-wah hai is se ziyaada kya