rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya main ne ghazal pyasi thi jazbon ka samundar de diya main ne jis aabaadi mein be-suraj andhera hi andhera tha use bhi chandni-raaton ka manzar de diya main ne jo muddat se gire the be-par-o-baali ki khai mein udanon ke liye un ko bhi shahpar de diya main ne jo palkon par saja kar aas ke kuchh khwab baithe the unhen un ki tamannaon ka mazhar de diya main ne kaho 'dildar' mujh se aur kya ab chahiye tum ko tumhaare shahr ko tahzib ka ghar de diya main ne