dikhai de ki shua-e-basir khinchta hun ghubar khinch jigar ka lakir khinchta hun dikhai deta hun tanha safine mein lekin kinare lagte hi jamm-e-ghafir khinchta hun mere jilau se koi kahkashan nahin bachti main khinchne pe jo aaun akhir khinchta hun umad padi hai jo yaksar khizan ke dhaare se gulabi-e-nigah-e-na-guzir khinchta hun fishaar padta hai gahra koi rag-o-pai mein kali kali se subu-e-abir khinchta hun ki jaise khud se mulaqat ho nahin pati jahan se uttha hua hai khamir khinchta hun hazaron aaine har lahza khali hote hain palat palat ke wahi aks-e-pir khinchta hun mufahamat se jo had par ho to ho jae bandha hua rag-e-jaan se zamir khinchta hun jin aasmanon mein sayyal-e-waqt sakit hai kamand dal wahan ju-e-shir khinchta hun magar hawa-o-hawas par hi kharch ho jae har ek jhonke se baad-e-kasir khinchta hun irade bhanp tere ja dhadakta hai dar par pada hua pas-e-zindan asir khinchta hun baghair bhed na an-honi se bacha jae palat ke aata hai aksar jo tir khinchta hun tilism-e-zulf hifazat ka pinjra ho jaise maze jahan ke ho kar asir khinchta hun ye dekh kar-e-jahan ne na dhajjiyan chhodin teri gali ki taraf ab sharir khinchta hun 'nawed' kar to diya shahr-e-aina pamal ab andaruni saf-e-dar-o-gir khinchta hun