rawayya kafi kuchh badla hua hai aasmanon ka magar naqsha wahi hai ab ke bhi khali makanon ka wahi ek qissa ab tak dhyan mein raushan nahin hota tasalsul jis se wabasta hai pichhli dastanon ka udhar se bhi kisi aawaz ki aamad nahin mumkin idhar bhi zawiya badla hua hai apne kanon ka bahut khush-rang thi parwaz un khamosh banhon ki jahan bhi hausla darkar tha unchi udanon ka