shanasa jis ko samjhe the wahi na-ashna nikla wo kaisa yar tha jo yar ban kar bewafa nikla bhatakta chhod aae the jise hum dur sahra mein hazaron qafilon ke darmiyan wo qafila nikla ulat kar jab bhi dekhi hai kitab-e-zindagi hum ne to har ek lafz ke pichhe koi ek hadisa nikla bahut kuchh naz tha hum ko magar ab kya kahen yaro hujum-e-dostan mein wo akela bewafa nikla ki apne dukh-bhare naghme tumhein kaise suna pate hamare hath jo bhi saz aaya be-sada nikla