rawish-e-husn-e-muraat chali jati hai hum se aur un se wahi baat chali jati hai us jafa-ju se ba-ima-e-tamanna ab tak hawas-e-lutf-o-inayat chali jati hai mil hi jate hain pashimani-e-gham ke asbab shauq-e-hirman ki mudaraat chali jati hai hum se har-chand wo zahir mein khafa hain lekin koshish-e-pursish-e-haalat chali jati hai din ko hum un se bigadte hain wo shab ko hum se rasm-e-pabandi-e-auqat chali jati hai us sitamgar ko sitamgar nahin kahte banta sai-e-tawil-e-khayalat chali jati hai nigah-e-yar se pa lete hain dil ki baaten shohrat-e-kashf-o-karamat chali jati hai hairat-e-husn ne majbur kiya hai 'hasrat' wasl-e-jaanan ki yunhi raat chali jati hai