rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai zamin kahin ki bhi ho aasman se achchhi hai jo harf-e-haq ki himayat mein ho wo gum-nami hazar waza ke nam-o-nishan se achchhi hai ajab nahin kal usi ki zaban khinchi jae jo kah raha hai khamoshi zaban se achchhi hai bas ek khauf kahin dil ye baat man na jae ye khak-e-ghair hamein aashiyan se achchhi hai hum aise gul-zadgan ko bahaar-e-yak-saat nigar-khana-e-ahd-e-khazan se achchhi hai