jab saz ki lai badal gai thi wo raqs ki kaun si ghadi thi ab yaad nahin ki zindagi mein main aakhiri bar kab hansi thi jab kuchh bhi na tha yahan pe ma-qabl duniya kis chiz se bani thi mutthi mein to rang the hazaron bas hath se ret bah rahi thi hai aks to aaina kahan hai tamsil ye kis jahan ki thi hum kis ki zaban bolte hain gar zehn mein baat dusri thi tanha hai agar azal se insan ye bazm-e-kalam kyun saji thi tha aag hi gar mera muqaddar kyun khak mein phir shifa rakhi thi kyun mod badal gai kahani pahle se agar likhi hui thi