resham resham titli dekhun KHwab-nagar ki wadi mein

resham resham titli dekhun khwab-nagar ki wadi mein
kis ki khushbu phail rahi hai dil ki viran basti mein

sat-rangi sapnon mein chehra sat-rangi ho jae hai
indr-dhanush ka rang mila hai tumre nam ki haldi mein

yun to babuli ke panghat par sakhiyon ke sang baithi hun
lekin man ki gori chupke chupke utre pani mein

hathon ki mehndi jo tumhaare nam ki mala japti hai
bijli jaisi daud pade hai nazuk nazuk ungli mein

aao sanson ke panw mein yun pael hum pahna den
meri mang ke jagmag tare chamke tumri pagdi mein

shishe ke sapnon ko le kar pyar ki khatir aai hun
hath mera tum tham ke chalna jiwan ki pagdandi mein

rishton ke bandhan ko tode aaj sajan ghar aai hun
le kar kuchh yaadon ki goya bachpan ki ek peti mein

halki halki bunda-bandi phir bhi galiyaron mein hai
git milan ka gunj raha hai yun to man ki wadi mein

an-jaani uljhan hai phir bhi sukh ke mausam mein 'sagar'
jaane jugnu kis ko dhunde andhiyaron ki basti mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close