ret ban ban ke bikharne ki tamannai hai zindagi dard ke sahra mein nikal aai hai wo har ek bazm mein tanha hi nazar aata hai zauq-e-tanhai nahin khubi-e-yaktai hai kashtiyan gharq hui hongi na jaane kitni un ki aankhon ke samundar mein wo gahrai hai jis se aage hai faqat dur talak gard-o-ghubar justuju ab hamein is mod pe le aai hai din to chehron ke alawon mein jhulaste guzra yaad phir kis ki mujhe sham ko ghar lai hai