wo mera kaun hai aaina dikhata kyon hai hadisa ban ke mere samne aata kyon hai main ne kab ghar ki udasi ki shikayat ki hai koi aaseb sar-e-sham daraata kyon hai wo meri rah ka patthar to nahin hai lekin mujh ko har bar ye ehsas dilata kyon hai phir kai rang fazaon mein bikhar jaenge phul nazuk hain chatanon mein dabaata kyon hai