ret ki tarah kinaron pe hain darne wale mauj-dar-mauj gae par utarne wale aaj kanton se gareban chhudaen to sahi lala-o-gul pe kabhi panw na dharne wale rup se chhab se phaban se koi aagah nahin naqsh-kar-e-lab-o-ariz hain sanwarne wale koi jine ka saliqa ho to main bhi jaanun maut aasan hai mar jate hain marne wale mere jine ka ye uslub pata deta hai ki abhi ishq mein kuchh kaam hain karne wale