ret qabiz thi bahut khamosh lagti thi nadi par karte waqt ye jaana ki gahri thi nadi jis jagah ab hai ghani aabaadiyon ka silsila kal usi qasbe ke bichon-bich bahti thi nadi ek haibatnak manzar dil ko dahlata hua rasta apna achanak phir se badli thi nadi us ke andar ki khamoshi mein ghazab ka raaz tha apne ek makhsus lai mein gungunati thi nadi mil ke lahron se bhi sangam ko tarasti hi rahi is safar mein aisa lagta hai akeli thi nadi dekh qadmon ki thakan wo rokti apna bahao aur mere ek ishaare par hi chalti thi nadi ye bharam tha so rahi hai wo bhanwar-aghosh mein dubne ki aa gai naubat ki jagi thi nadi ab badi ho kar samundar ki tarah lagne lagi chand barson pahle dekha tha to chhoti thi nadi pul shikasta tha magar sayyah to be-khauf the garmiyon ke din the chaaron samt sukhi thi nadi