suna ki khub hai us ke dayar ka mausam dilon pe chhane laga phir khumar ka mausam kabhi kabhi to badan ko pata nahin chalta ki bagh-e-ruh mein kab aaya pyar ka mausam main us gulab ko naraaz kar nahin sakta bhale hi ruth ke jae bahaar ka mausam ye khauf dil mein ubharta hai dard ki surat badal na jae kahin e'tibar ka mausam main khud bhi milne ko bechain hun ye jab se suna meri talash mein hai intizar ka mausam tamam aab-o-hawa mein gulal bikhra hai ki rang laya hai us ke nikhaar ka mausam khile hue hain umidon ke phul dil mein magar guzar na jae kahin intizar ka mausam bade maze se abhi tak guzar rahe hain din isi tarah rahe qaem khumar ka mausam yahan kabhi bhi khizan ka guzar nahin hoga yahan hamesha rahega bahaar ka mausam sukun-e-qalb mayassar ho khwab pure hon kabhi to aae dil-e-be-qarar ka mausam kisi tarah bhi na inkar ki hai gunjaish ki hai uruj pe qaul-o-qarar ka mausam wo achchhe-achchhon ko khatir main ab na lata hai ki in dinon to hai us ke nikhaar ka mausam