reza reza azm-e-safar hai dhundli dhundli rahguzar hai phika phika rang-e-bahaaran suna suna har manzar hai aadhi raat sada kis ne di shama bujha do waqt-e-sahar hai udti ret ka kya mustaqbil ek sahra ta-hadd-e-nazar hai qatl chhupega aakhir kaise khun idhar hai dagh udhar hai jal bichha hai har goshe mein kahte ho sayyaad kidhar hai 'naz' chaman ki shadabi mein shamil apna khun-e-jigar hai