bijliyon ko pala hai maine ek zamane se

bijliyon ko pala hai main ne ek zamane se
raushni nikalti hai mere aashiyane se

jaanta hun us ko main hai wo maslahat-andesh
hath to mila lega dil raha milane se

kis qadar ye behtar hai qaul ahl-e-danish ka
jurm aur badhte hain jurm ke chhupane se

ye hadis bhi dekho haq hai har zamane mein
umr ghatti jati hai jhuti qasmen khane se

kitni hi bulandi par baith jaen gidh sare
aaali ho nahin jate unchi kursi pane se

zehn-e-ahl-e-danish mein pai hai jagah 'mukhlis'
har adab ki mahfil mein sirf aane-jaane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close