reza reza hi tha mismar purana ghar tha

reza reza hi tha mismar purana ghar tha
apne hone se hi bezar purana ghar tha

silwaten jism ki jaisi hi thin diwaron par
aur nazron mein magar pyar purana ghar tha

tajraba umr mein pinhan tha liyaqat jaise
jaise raushan koi minar purana ghar tha

ukhda ukhda sa tha lahja to tapakti chhat thi
par tha saya bhi fagan-dar purana ghar tha

bikhra bikhra tha mohabbat mein magar yakja tha
tha hamara bhi to gham-khwar purana ghar tha

kona kona tha hamare liye pairo-kari
aur khud ke liye nadar purana ghar tha

khud ke iman ki bhi fikr dua bhi sab ko
phul hi phul the gulzar purana ghar tha

'shah' jab se wo gaya dard ka darman de kar
phul lagte hain mujhe khar purana ghar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close