dil ka TuTa hua arman nahin hona tha

dil ka tuta hua arman nahin hona tha
hum ko itna bhi to aasan nahin hona tha

ja-e-qismat hai mohabbat ka adhura hona
dil to banna tha mujhe jaan nahin hona tha

sunte aae hain hum aadam ka nikalna aksar
ku-e-dil ka mujhe mehman nahin hona tha

khushk hijrat ke sune hum ne fasane kitne
mujh ko hijrat ka bhi saman nahin hona tha

apne sapnon ki ijazat hai sabhi ko yaro
gul use hona tha gul-dan nahin hona tha

baadalon se hamein ummid nahin barish ki
aur aankhon se bhi imkan nahin hona tha

us ki yaadon ko kaleje se lagae rakhna
'shah' khud ko bhi to viran nahin hona tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close