reza reza tere chehre pe bikharti hui sham qatra qatra meri palkon pe utarti hui sham lamha lamha mere hathon se sarakta hua din aur aaseb-zada dil mein utarti hui sham subh ka khwab magar khwab ajab jaan-lewa mere pahlu mein sisakti hui marti hui sham sath sahil pe guzarte hue dekhi thi kabhi yaad hai ab bhi samundar mein utarti hui sham main bhi tanha hun to ye sham bhi tanha tanha yani tanhai mein kuchh aur nikharti hui sham