safar mujh par ajab barpa rahi hai meri wahshat mujhe chaunka rahi hai kahin se aa rahi hai teri khushbu udasi dur hoti ja rahi hai abhi tak khud nahin samjhi hai jis ko mujhe wo baat bhi samjha rahi hai amiron ke bache tukdon ko chun kar gharibi bhuk ko bahla rahi hai mubarak sham ki aamad mubarak kisi ki yaad le kar aa rahi hai gai shab aankh mein jo mar gaya tha udasi khwab wo sahla rahi hai bahut maghrur hai ye baadshahi hamare ishq ko chunwa rahi hai darakhton par nae zewar uge hain zamin dulhan bani sharma rahi hai hamare darmiyan alfaz gum hain khamoshi ungliyan chatkha rahi bahut ummid thi is zindagi se magar ummid ye murjha rahi hai 'ziya' jalwa hai 'nasir-kazmi' ka ghazal ye khud mujhe tadpa rahi hai