rida-e-jaan pe dohra azab bunta hun main roz jagti aankhon mein khwab bunta hun khayal-e-husn ki makhmal pe tar-e-imkan se kabhi gulab kabhi mahtab bunta hun ghubar-e-khatir-e-paiham se bujh bhi jaun agar shab-e-siyah mein koi aaftab bunta hun libas-e-shauq to muddat ka tar-tar hua qaba-e-dard pe ab pech-o-tab bunta hun tilism-e-zulf ki lahren dubo hi deti hain kanar-e-sham jab mauj-e-sharab bunta hun kabhi main baam-e-mah-e-nau pe dalta hun kamand kabhi main khema-e-shahr-e-hijab bunta hun sulag uthe hai jo sahra bhi pa-e-wahshat se to kar-gah-e-junun par sahab bunta hun jab ek khwab ka makhmal ho tar-tar 'nadim' main dasht-e-wahm mein phir ek sarab bunta hun