pahli si ab wo shokhi guftar bhi nahin muddat se zauq-e-naghma-o-ashaar bhi nahin suni padi hai manzil-e-diwangi-e-ishq kya ho gaya ki koi sar-e-dar bhi nahin waiz sharab-noshi ke behad khilaf hain mil jae muft ki to kuchh inkar bhi nahin wo samne jo aae to nazren na uth sakin ab mujh mein jaise taqat-e-didar bhi nahin kab hogi khatm 'tahira' sham-e-gham-e-hayat ab tak numud-e-subh ke aasar bhi nahin