rida koi dilruba nahin hai nigah koi dil-nashin nahin hai tilism-e-zauq-e-nazar hain jalwe wagarna koi hasin nahin hai hamare maqsad ki gumrahi se qadam qadam par bane hain kabe yahan jhuki hai wahan jhukegi kuchh kuchh e'tibar-e-jabin nahin hai azal se ye rind-e-la-ubaali gada-e-maikhana-e-nazar hai qasam teri kafir ankhdiyon ki sharab aisi kahin nahin hai hum apna dukhda suna rahe hain wo baithe sun bhi rahe hain lekin kuchh is tarah muskura rahe hain ki jaise un ko yaqin nahin hai qasam hai un surkh aansuon ki ki jin ki ladiyan kabhi na tutin ki ab un aankhon mein koi qatra mata-e-'ashk'-e-hazin nahin hai