ris raha hai muddat se koi pahla gham mujh mein rasta banata hai aansuon ka nam mujh mein tujh se yun shahanshaha ho to kya shikayat ho gah shor karte hain tere besh o kam mujh mein main wo lauh-e-sada hun jo tujhe ayan kar de raushni ke khat mein hai ek nafas raqam mujh mein umr ki udasi ke dusre kinare par ek ajnabi chehra ho raha hai zam mujh mein tai hua ki marna to lazmi natija hai ghunt ghunt girta hai zindagi ka sam mujh mein