rishta jigar ka khun-e-jigar se nahin raha mausam tawaf-e-kucha-o-dar ka nahin raha dil yun to gah gah sulagta hai aaj bhi manzar magar wo raqs-e-sharar ka nahin raha majbur ho ke jhukne laga hai yahan wahan ye sar bhi tere khak-ba-sar ka nahin raha ghar ka to khair zikr hi kya hai ki zehn mein naqsha bhi us bhare-pure ghar ka nahin raha bandha kisi ne rakht-e-safar is tarah ki ab dil ko 'fuzail' shauq safar ka nahin raha